Iqbal Kausar

kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya

Iqbal Kausar

kabhī aa.ine sā bhī sochnā mujhe aa gayā
mirā dil ke biich hī TūTnā mujhe aa gayā
tirī pahlī diid ke saath hī vo fusūñ bhī thā
tujhe dekh kar tujhe dekhnā mujhe aa gayā
koī gahre niil sā sehr hai tirī aañkh meñ
ye vo jhiil hai jahāñ Dūbnā mujhe aa gayā
mujhe kyā jo ho koī lai meñ sher meñ rañg meñ
mirā dukh ye hai use DhūñDnā mujhe aa gayā
ki adā-e-yār pe munhasir mirī chaal thī
kahīñ jītnā kahīñ hārnā mujhe aa gayā
jahāñ fart-e-mastī meñ kaj-qadam the saman-barāñ
koī gir rahā thā to thāmnā mujhe aa gayā
baḌe kaam kī thī jo guftugū rahī rū-ba-rū
tū na jaan, par tujhe jānñā mujhe aa gayā
Top Urdushayar.com