kareñ hijrat to ḳhāk-e-shahr bhī juz-dān meñ rakh leñ
chaleñ ghar se to ghar kyā yaad bhī sāmān meñ rakh leñ
hamārā kyā ki gul ko noch kar takrīm bhī de deñ
sahīfe meñ sajā deñ yā kisī gul-dān meñ rakh leñ
ziyān-e-dil hī is bāzār meñ sūd-e-mohabbat hai
yahāñ hai fā.eda ḳhud ko agar nuqsān meñ rakh leñ
bahut tarsī hai duniyā tere hashr-e-rū-numā.ī ko
batā ab ye talab ham aur kis imkān meñ rakh leñ
hamārā kufr ye hai harf aatā ho jahāñ tujh par
hamīñ to haiñ jo terī aabrū īmān meñ rakh leñ
amaañ kī ek hī sūrat hai ab is be-yaqīnī meñ
parind-e-ġhār! ham bhī jaan terī jaan meñ rakh leñ
Dhale jab tak na shab ham kaaḌh kar ik sham.a kī lau se
tulū-e-sub.h kā manzar na raushan-dān meñ rakh leñ?