Iqbal Kausar

andar se muntashir hun ki bahar shikasta hai

Iqbal Kausar

andar se muntashir huuñ ki bāhar shikasta hai
maiñ ḳhud shikasta huuñ ki mirā ghar shikasta hai
har shai ke ḳhāl-o-ḳhad haiñ mire ḳhuuñ meñ muntashir
har jism mere jism ke andar shikasta hai
niklā thā kis kī naav meñ sāhil ke chaav meñ
ab tak huuñ maiñ bahāv meñ lañgar shikasta hai
ik sañg se hai fikr-e-arastū sharar-numā
ik aa.ine meñ aks-e-sikandar shikasta hai
ik mahviyat ki hairat-e-sāhil hai har taraf
ik kaifiyat ki saarā samundar shikasta hai
yā shīsha-e-nigah hī milā mujh ko chūr-chūr
yā shīsha-e-jihat meñ ye manzar shikasta hai
'kausar' badal ga.e haiñ parastish ke zā.iqe
mehrāb sar-ḳhamīda hai mimbar shikasta hai
Top Urdushayar.com