kāhish-e-ġham ne jigar ḳhuun kiyā andar se
ham ne bāhar bhī yahī zahr piyā andar se
zinda lagtā huuñ to ye fan hai mire sāhir kā
in nigāhoñ ne mujhe khīñch liyā andar se
vo bhī ro ro ke bujhā Daalā hai ab āñkhoñ ne
raushnī detā thā jo ek diyā andar se
mizha-e-multafit-e-yār hai badnām abas
us ne to dil kā bas ik chaak siyā andar se
koī bāhar bhī to dekhe mirī gulgūñ ashk
dil kī pur-ḳhūnī ne kyā rañg kiyā andar se