supurd-e-ġham-zadagān-e-saf-e-vafā huā maiñ
paḌā huuñ umr kī dīvār se girā huā maiñ
ajiib soch sī aur us pe sochtā huā maiñ
ki TūTtā tirī hairat meñ aa.inā huā maiñ
kahīñ maiñ koh pe farhād aur dasht meñ qais
vajūd-e-ishq meñ huuñ ḳhud ko DhūñDhtā huā maiñ
jise bhī milnā hai mujh se vo intizār kare
na jaane kab palaT aa.uuñ kahīñ gayā huā maiñ
na mil sakā koī afsos vaqt par mujh ko
kisī ko mil na sakā vaqt se kaTā huā maiñ
tamām ham-nafasāñ qat.a kar ga.e manzil
bas ik musāfir-e-rah, rah gayā bachā huā maiñ
tamām umr yūñhī tarz-e-būd-o-bāsh rahī
kahīñ charāġh banā maiñ kahīñ havā huā maiñ
samajh na sahl zamāne kī gardishoñ ke ba.ad
huā maiñ ḳhud ko farāham mujhe atā huā maiñ
ajiib kaifiyat-e-intishār meñ huuñ ravāñ
ġhubār sā huuñ kisī ḳhaak se uḌā huā maiñ