Saulat Zaidi

KHayal-e-gardish-e-sham-o-sahar mein rahta hun

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
ḳhayāl-e-gardish-e-shām-o-sahar meñ rahtā huuñ
maiñ ghar meñ rahte hue bhī safar meñ rahtā huuñ
maiñ apne jism pe tanqīd kar nahīñ saktā
magar ye sach hai ki miTTī ke ghar meñ rahtā huuñ
mujhe qayām kahāñ ab mujhe talāsh na kar
hai merā naam musāfir safar meñ rahtā huuñ
maiñ ek dard sahī phir bhī miT nahīñ saktā
sabab ye hai ki dil-e-chāra-gar meñ rahtā huuñ
mujhī se māñge hai sailāb rāsta 'saulat'
ye jāntā hai ki miTTī ke ghar meñ rahtā huuñ
Top Urdushayar.com