Iqbal Kausar

jo zaKHm jama kiye aankh-bhar sunata hun

Iqbal Kausar

jo zaḳhm jam.a kiye āñkh-bhar sunātā huuñ
sunoge band zabāñ kyā nazar sunātā huuñ
jo sun sako to sukūt-e-pas-e-navā bhī suno
yahī to maiñ tumheñ shaam o sahar sunātā huuñ
nigāh laao jo rañg-e-sadā kashīd kare
ki maiñ to ḳhāmoshiyoñ ke hunar sunātā huuñ
yahī kamāl hai mere alag takallum kā
ḳhabar bhī hotī nahīñ jo ḳhabar sunātā huuñ
agarche ek hī dariyā kī naġhma-ḳhvānī hai
kināra saut tirī maiñ bhañvar sunātā huuñ
tumhāre vāste shāyad mirā kalām na ho
jinheñ ḳhabar nahīñ maiñ kyā ḳhabar sunātā huuñ
Thahar gayā hai mire harf kā yahī me.aar
dhuāñ uḌātā nahīñ maiñ sharar sunātā huuñ
Top Urdushayar.com