Iqbal Kausar

abhi mera aaftab ufuq ki hudud se aashna nahin hai

Iqbal Kausar

abhī mirā āftāb ufuq kī hudūd se āshnā nahīñ hai
mirī bhī shab kī sahar hai lekin numūd se āshnā nahīñ hai
khule kisī ke shu.ūr par to mujhe bhī us kā surāġh de de
ki merā jauhar hunūz apne vajūd se āshnā nahīñ hai
ġhazab hai fitrat kā dasht-o-kohsār meñ navā-e-sukūt bharnā
magar vo kyā sun sakegā jo is surūd se āshnā nahīñ hai
maiñ kis gumāñ par kahūñ zamāne meñ merā āġhāz ho chukā hai
ki merā lamha abhī tak apne varūd se āshnā nahīñ hai
ḳhabar nahīñ kārobār-e-ulfat meñ jā rahī hai kidhar tabī.at
ziyāñ se rakhtī nahīñ ta.āruf ki suud se āshnā nahīñ hai
dilā rahā huuñ maiñ us ko ehsās us kī pahlī rafāqatoñ kā
jo aaj 'iqbāl' merī būd-o-nabūd se āshnā nahīñ hai
Top Urdushayar.com