Iqbal Kausar

ek lau thi mere KHun mein tahlil to ye thi

Iqbal Kausar

ik lau thī mire ḳhuun meñ tahlīl to ye thī
ik barq sī rau thī mirī qindīl to ye thī
tere ruḳh-e-ḳhāmosh se merī rag-e-jāñ tak
jo kaam kiyā aañkh ne tarsīl to ye thī
banñā thā to bantā na farishta na ḳhudā maiñ
insān hī bantā mirī takmīl to ye thī
sāñpoñ ke tasallut meñ the chiḌiyoñ ke basere
maftūh gharāne! tirī tamsīl to ye thī
Tiile kā khañDar sadiyoñ kī tārīḳh liye thā
ijmāl batātā thā ki tafsīl to ye thī
vo jāntā thā sajda faqat tujh ko ravā hai
palTā na phir is hukm se ta.amīl to ye thī
ik ḳhvāb dhuñdlakoñ meñ bikhartā huā 'kausar'
āḳhir ruḳh-e-ta.abīr kī tashkīl to ye thī
Top Urdushayar.com