Saulat Zaidi

hum naqsh-e-pa the rahguzar hi mein rah gae

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
ham naqsh-e-pā the rāhguzar hī meñ rah ga.e
nikle safar pe aur safar hī meñ rah ga.e
shāyad unheñ thā hadisa-e-zabt-e-ġham kā Dar
aañsū laraz ke dīda-e-tar hī meñ rah ga.e
manzil pe vo bhī pahuñcheñge kis ko yaqīn ho
pīchhe jo ibtidā-e-safar hī meñ rah ga.e
saare javāb de na sake zindagī ke ham
kitne savāl dīda-e-tar hī meñ rah ga.e
parvāz un ke saath kare āshiyāñ kī ḳhaak
vo bāl-o-par jo barq-o-sharar hī meñ rah ga.e
dahlīz ke charāġh kā 'saulat' ḳhayāl thā
manzil kā shauq le ke bhī ghar hī meñ rah ga.e
Top Urdushayar.com