zulf ko abr kā TukḌā nahīñ likhkhā maiñ ne
aaj tak koī qasīda nahīñ likhkhā maiñ ne
jab muḳhātab kiyā qātil ko to qātil likhkhā
lakhnavī ban ke masīhā nahīñ likhkhā maiñ ne
maiñ ne likhkhā hai use maryam o siitā kī tarah
jism ko us ke ajantā nahīñ likhkhā maiñ ne
kabhī naqqāsh batāyā kabhī me.amār kahā
dast-e-fankār ko kaasa nahīñ likhkhā maiñ ne
tū mire paas thā yā terī purānī yādeñ
koī ik sher bhī tanhā nahīñ likhkhā maiñ ne
niiñd TuuTī ki ye zālim mujhe mil jaatī hai
zindagī ko kabhī sapnā nahīñ likhkhā maiñ ne
merā har sher haqīqat kī hai zinda tasvīr
apne ash.ār meñ qissa nahīñ likhkhā maiñ ne