Anwar Jalalpuri

paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

Anwar Jalalpuri

Jalalpur, Uttar pradesh, India

1947-2018
parāyā kaun hai aur kaun apnā sab bhulā deñge
matā-e-zindagī ek din ham bhī luTā deñge
tum apne sāmne kī bhiiḌ se ho kar guzar jaao
ki aage vaale to hargiz na tum ko rāsta deñge
jalā.e haiñ diye to phir havāoñ par nazar rakkho
ye jhoñke ek pal meñ sab charāġhoñ ko bujhā deñge
koī pūchhegā jis din vāqa.ī ye zindagī kyā hai
zamīñ se ek muTThī ḳhaak le kar ham uḌā deñge
gila shikva hasad kiina ke tohfe merī qismat haiñ
mire ahbāb ab is se ziyāda aur kyā deñge
musalsal dhuup meñ chalnā charāġhoñ kī tarah jalnā
ye hañgāme to mujh ko vaqt se pahle thakā deñge
agar tum āsmāñ par jā rahe ho shauq se jaao
mire naqsh-e-qadam aage kī manzil kā patā deñge
Top Urdushayar.com