mizāj-e-dil na itnā sard hotā
agar pahlū-ba-pahlū dard hotā
ye kuchlī laash ab bhī sochtī hai
koī is bhiiḌ meñ hamdard hotā
ḳhizāñ vaale yahī to chāhte haiñ
hare pattoñ kā chehra zard hotā
mohabbat par hai purvā.ī kā ehsāñ
vagarna dil meñ kyuuñ ye dard hotā
zamāne kī nazar lagne na detā
jo tū ā.īna aur maiñ gard hotā