Saulat Zaidi

aadat meri duniya se chhupane ki nahin thi

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
aadat mirī duniyā se chhupāne kī nahīñ thī
vo baat bhī kah dī jo batāne kī nahīñ thī
maiñ ḳhush huuñ bahut gard ko ā.īne pe rakh kar
dī vo mujhe sūrat jo dikhāne kī nahīñ thī
ham khā ga.e dhokā tirī āñkhoñ kī namī se
vo choT dikhā dī jo dikhāne kī nahīñ thī
achchhā huā niiñd aa ga.ī arbāb-e-vafā ko
aage ye kahānī bhī sunāne kī nahīñ thī
yuuñ dil ko kiyā sho.ala-e-ġham tere havāle
is ghar meñ koī chiiz bachāne kī nahīñ thī
kuchh is liye apnā na sakā is ko zamāna
'saulat' kī jo aadat thī zamāne kī nahīñ thī
Top Urdushayar.com