merī chāhat pe na ilzām lagāo logo
kuchh samajh kar hī uThātā hai koī bār-e-girāñ
pahle zarrāt-e-zamīñ-bos kā hamrāz to ban
phir samajhnā bahut āsāñ hai sitāroñ kī zabāñ
rāz-dār-e-gul-o-nasrīñ to hazāroñ the magar
koī samjhā hī nahīñ barg-e-pareshāñ kī zabāñ
pheñktī hai tire 'shāhīn' pe duniyā patthar
nā-gahāñ chuur na ho jaa.e ye shīshe kā makāñ