sach kā lamha jab bhī nāzil hotā hai
kitnī uljhan meñ apnā dil hotā hai
merī ḳhushī kā bhed hai bas ye sab kā dukh
mere apne dukh meñ shāmil hotā hai
ilm kī mere yaar sanad pahchān nahīñ
bahut paḌhā likkhā bhī jāhil hotā hai
sayyad-zāde dil māñgo yā dād-e-hunar
saa.il to har haal meñ saa.il hotā hai
biit ga.ī jab umr to ye mālūm huā
ek ishāra umr kā hāsil hotā hai
ek hañsī lāchārī ko kuchh aur baḌhā.e
ek hañsī se dushman ghā.il hotā hai
ai mire dil ai achchhe dil ai ḳhāna-ḳharāb
tū kyuuñ har takrār meñ shāmil hotā hai
sah leñ ham duniyā ke sitam 'shāhīn' magar
ziddī dil har aan muqābil hotā hai