thī kuchh na ḳhatā phir bhī pashemān rahe haiñ
kyā kyā ġham-e-hālāt ke unvān rahe haiñ
ḳhud jin ko na irfān thā taqdīs-e-junūñ kā
vo bhī mirī hastī ke nigahbān rahe haiñ
jin ko mirī har baat pe vahshat kā gumāñ thā
vo merī ḳhamoshī kā burā maan rahe haiñ
dilchasp nazar aa.ī thī ye rasm-o-rah-e-dil
par jaan kā ik rog hai ab jaan rahe haiñ
jo bhī hai use tañgī-e-dāmāñ kā gilā hai
ek ek ko ham duur se pahchān rahe haiñ