dil jahāñ bhī Duubā hai un kī yaad aa.ī hai
haa.e kyā sukūñ-parvar dard-e-āshnā.ī hai
tum sarāb ban ban kar apnī chhab dikhāte ho
tishna-lab musāfir kī jaan par ban aa.ī hai
ye kashākash-e-hastī kitnī duur le aa.ī
din kahāñ guzārā hai shab kahāñ gañvā.ī hai
zindagī tirī ḳhātir tere dard-mandoñ ne
ik jahān kī tohmat apne sar uThā.ī hai
roz-o-shab mirī ḳhātir jis kā dil dhaḌaktā thā
ab ye haal hai us kī yaad bhī parā.ī hai
maiñ sadā-e-gum-gashta maiñ adā-e-nā-zebā
merā naam kitnoñ ko vaj.h-e-ḳhud-numā.ī hai
ḳhvāb ho chuke 'shāhīñ' saare vāqiye phir bhī
shahr shahr meñ ab tak dāstāñ-sarā.ī hai