duniyā ne bas thakā hī diyā kaam kam hue
terī galī meñ aa.e to kuchh tāza-dam hue
uqda khulā to dard ke rishte baham hue
dāman ke saath ab ke garebāñ bhī nam hue
jab se asīr-e-silsila-e-besh-o-kam hue
ham ko salīb apne hī naqsh-e-qadam hue
badlī zarā jo tarz-e-ḳhirām-e-sitārgāñ
nuqtoñ meñ aañkh biich sahīfe raqam hue
the muntazir hamāre bhī gul-chehragān-e-shahr
lekin rihā giraft-e-jahāñ se na ham hue
rah kar jin intihāoñ meñ apnī guzar ga.ī
is tarah jiine vaale to jāñ-bar hī kam hue
dīvār par gaḌe hue TukḌe pe kāñch ke
ye kis hisār-e-rañg meñ mahsūr ham hue
chashmak ye dhuup chhāñv kī aur ek zard phuul
ik jān-e-nā-tavāñ pe hazāroñ sitam hue
yaktā o be-nazīr hai vo kyā use ġharaz
ḳhārij hue ki dāḳhil-e-kāba sanam hue
'shāhīn' the kamāl ke rutba-shanās-e-dahr
par apnī manzilat se ḳhud āgāh kam hue