nikal ke ghar se phir is tarah ghar ga.e ham tum
ḳhud apnī raakh uḌāte bikhar ga.e ham tum
zamāna apnī adā-kāriyoñ pe nāzāñ thā
aur apne-āp pe ilzām dhar ga.e ham tum
use kaho ġham-e-tārāji-e-chaman ho use
had bahār o ḳhizāñ se guzar ga.e ham tum
kabhī jahāñ ke muqābil rahe tan-e-tanhā
kabhī ḳhud apnī hī aahaT se Dar ga.e ham tum