Saulat Zaidi

jis raat bhi charagh-e-shab-e-gham raha hun main

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
jis raat bhī charāġh-e-shab-e-ġham rahā huuñ maiñ
us raat raushnī meñ bahut kam rahā huuñ maiñ
ġhairoñ se dostī ko baḌhāyā hai apnā haath
ḳhud kitnā apne aap se barham rahā huuñ maiñ
ḳhushbū dil-o-dimāġh meñ aur vo bhī is qadar
phūloñ kā ham-nashīñ to bahut kam rahā huuñ maiñ
ye shahr-e-jism-o-jāñ mirī pahchān ban gayā
is shahar meñ agarche bahut kam rahā huuñ maiñ
kuchh phuul haath par mire kuchh ḳhaar jism meñ
'saulat' ye kis bahār kā mausam rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com