Shaheen Gazipuri

KHak-e-dil kahkashan se milti hai

Shaheen Gazipuri

Munger, Bihar, India

1938
ḳhāk-e-dil kahkashāñ se miltī hai
ye zamīñ āsmāñ se miltī hai
haath aatī nahīñ kabhī duniyā
aur kabhī har dukāñ se miltī hai
ham ko aksar gunāh kī taufīq
hujjat-e-qudsiyāñ se miltī hai
dil ko īmān jānñe vaale
daulat-e-dil kahāñ se miltī hai
māvārā-e-suḳhan hai jo tauqīr
ik kaḌe imtihāñ se miltī hai
intihā ye ki merī hadd-e-safar
manzil-e-gumrahāñ se miltī hai
har sitāra lahūluhān mirā
ye jabīñ āsmāñ se miltī hai
kunj-e-gul kī ḳhabar darīche ko
ab to bād-e-ḳhizāñ se miltī hai
sahl 'shāhīn' ye hunar to nahīñ
shā.irī naqd-e-jāñ se miltī hai
Top Urdushayar.com