zindagī hai muḳhtasar āhista chal
kaT hī jā.egā safar āhista chal
ek andhī dauḌ hai kis ko ḳhabar
kaun hai kis raah par āhista chal
dīda-e-hairāñ ko ik manzar bahut
yuuñ hī nazzāra na kar āhista chal
tez-gāmī jis shikam kī aag hai
us se bachnā hai hunar āhista chal
jo tag-o-dau se tirī hāsil huā
rakh kuchh us kī bhī ḳhabar āhista chal
roz o shab yuuñ vaqt kā dāman na kheñch
do ghaḌī ārām kar āhista chal