ye bhī shāyad tirā e.ajāz-e-nazar hai ai dost
sho.ala-e-dard mujhe ik gul-e-tar hai ai dost
terī āvāz to sahrā meñ bhaTak jaatī hai
kis taraf jā.ūñ maiñ tū jaane kidhar hai ai dost
haa.e ye be-sar-o-sāmānī-o-be-tartībī
zindagī kyā kisī mai-ḳhvār kā ghar hai ai dost
kitne tūfānoñ ko sar kartī hai ik sham-e-vafā
aur vo sham-e-vafā dard-e-jigar hai ai dost
gar ho ḳhvābīda to patthar ke sivā kuchh bhī nahīñ
jaag jaa.e jo yahī dil to sharar hai ai dost
yuuñ to ġham ziist ko be-rañg banā detā hai
dil-jaloñ kā yahī sarmāye magar hai ai dost