ḳhud apne zahr ko piinā baḌā karishma hai
jo ho ḳhulūs to jiinā baḌā karishma hai
yahāñ to āb-o-sarāb ek hai jidhar jaa.eñ
tumhāre haath hai miinā baḌā karishma hai
tumhārā daur karishmoñ kā daur hai sach hai
tumhāre daur meñ jiinā baḌā karishma hai
jahāñ nasīb ho aish-e-davām be-tag-o-dau
jabīñ pe garm pasīna baḌā karishma hai
ġham-e-ma.āsh kī gardish ḳhud-āgahī kā bharam
is iḳhtilāf meñ jiinā baḌā karishma hai
shumāriyāt bhī 'shāhīn' sher-goī bhī
ye harf harf nagīna baḌā karishma hai