Shaheen Gazipuri

shahr-e-KHuban se jo hum ab bhi guzar aate hain

Shaheen Gazipuri

Munger, Bihar, India

1938
shahr-e-ḳhūbāñ se jo ham ab bhī guzar aate haiñ
kitne dhundlā.e hue naqsh ubhar aate haiñ
raat jā chhuptī hai sunsān jazīroñ meñ kahīñ
raat ke ḳhvāb mirī ruuh meñ dar aate haiñ
sehr-andāz hai kyā nīm-nigāhī terī
ek se kāfir-o-dīñ-dār nazar aate haiñ
kis ko sach kahiyegā kis ruup ko jhuTlā.iyegā
aa.ine meñ to ka.ī aks utar aate haiñ
ek muddat se haiñ is shahr meñ ham āvāra
bām-o-dar aaj bhī anjān nazar aate haiñ
vo bulāte to haiñ 'shāhīn' sar-e-bām magar
ham hī kuchh soch ke zīnoñ se utar aate haiñ
Top Urdushayar.com