uḌte lamhoñ ke bhañvar meñ koī phañstā hī nahīñ
is samundar meñ koī tairne vaalā hī nahīñ
sālhā-sāl se vīrān haiñ dil kī galiyāñ
ek muddat se koī is taraf aayā hī nahīñ
aañkh ke ġhaar meñ haiñ saikḌoñ saḌtī lāsheñ
jhāñk kar un meñ kisī ne kabhī dekhā hī nahīñ
duur tak phail ga.ī TūTte lamhoñ kī ḳhalīj
vaqt kā saaya mire sar se utartā hī nahīñ
silsila rone kā sadiyoñ se chalā aatā hai
koī aañsū mirī palkoñ pe Thahartā hī nahīñ
jalte ākāsh kī Dhalvān pe sūraj kā vajūd
ik pighaltā huā laavā hai ki bujhtā hī nahīñ