yuuñ ulajh kar rah ga.ī hai tār-e-pairāhan meñ raat
be-dilī ke saath ab utregī jān-o-tan meñ raat
khol kar bādal ke darvāze nikal aayā hai chāñd
gir paḌī hai raqs karte karte phir āñgan meñ raat
baat kyā hai kashtiyāñ khultī nahīñ sāhil se kyuuñ
ḳhvār o āvāra sī hai apne adhūre-pan meñ raat
kaam itne haiñ ki ab ye sochnā bhī hai muhāl
kis kashākash meñ kaTā din kaun sī uljhan meñ raat
luuT le jaate haiñ sab dhanvān din kī raushnī
aur TukḌe TukḌe baT jaatī hai har nirdhan meñ raat
kar ga.iiñ chhiḌkāv āñkheñ aaj 'shāhīñ' is tarah
khil uThīñ murjhā.ī kaliyoñ se bhare dāman meñ raat