rāsta sunsān thā to muḌ ke dekhā kyuuñ nahīñ
mujh ko tanhā dekh kar us ne pukārā kyuuñ nahīñ
dhuup kī āġhosh meñ leTā rahā maiñ umr bhar
mehrbāñ thā vo to misl-e-abr aayā kyuuñ nahīñ
ek panchhī der tak sāhil pe mañDlātā rahā
muztarib thā pyaas se lekin vo utrā kyuuñ nahīñ
qurb kī qaus-e-quzah kamre meñ bikhrī thī magar
raat bhar rañg-e-tamannā phir bhī nikhrā kyuuñ nahīñ
mujh ko patthar meñ badalte chāhe ḳhud ban jaate vo mom
ḳhvāhish-e-tifl-e-tamannā ko jagāyā kyuuñ nahīñ
us ko tanhā pā ke 'aslam' raat apne room meñ
qatra-e-ḳhūn-e-havas ā.ankhoñ meñ aayā kyuuñ nahīñ