Aslam Azad

yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya

Aslam Azad

yādoñ kā lams zehn ko chhū kar guzar gayā
nashtar sā mere jism meñ jaise utar gayā
maujoñ kā shor mujh ko Darātā rahā magar
paanī meñ paañv rakhte hī dariyā utar gayā
pairoñ pe har taraf hī havāoñ kā raqs thā
ab sochtā huuñ aaj vo manzar kidhar gayā
do din meñ ḳhāl-o-ḳhat mire tabdīl ho ga.e
ā.īna dekhte hī maiñ apne se Dar gayā
apnā makān bhī thā usī moḌ par magar
jaane maiñ kis ḳhayāl meñ auroñ ke ghar gayā
us din mirā ye dil to bahut hī udaas thā
shāyad sukūn hī ke liye dar-ba-dar gayā
maiñ sañg huuñ na aur vo shīsha hī thā magar
'aslam' jo us ko haath lagāyā bikhar gayā
Top Urdushayar.com