har taraf tez āñdhiyāñ rakhnā
beach meñ merā āshiyāñ rakhnā
dhuup chhat par havā ho kamre meñ
lawn meñ shoḳh titliyāñ rakhnā
chāñd barse tasalliyoñ kī tarah
ghar meñ do-chār khiḌkiyāñ rakhnā
apnī duniyā hai dil-fareb bahut
ek dil ko kahāñ kahāñ rakhnā
tū rahegā jahāñ zamīñ hai tirī
maiñ jahāñ huuñ mujhe vahāñ rakhnā
lafz mil jaa.eñ to bayāñ hogā
hoñT kāñpe to uñgliyāñ rakhnā
baañh phaile to tum ko chhū aa.e
fāsla itnā darmiyāñ rakhnā
mere lafzoñ meñ dard de yārab
mere muñh meñ mirī zabāñ rakhnā