Dhruv Gupt

agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga

Dhruv Gupt

Gopal Ganj, Bihar, India

1950
agarche saḳht safar hai dhuāñ ghanā hogā
kahīñ koī to mirī raah dekhtā hogā
tamām hotā kahāñ hai kabhī nadī kā safar
vo jā mile to samundar bhī rāsta hogā
azaab aa.e sitam aa.e sāneha aa.e
maiñ muntazir huuñ ki kuchh ziist meñ nayā hogā
maiñ mar gayā to mirī buzdilī ḳhabar hogī
maiñ jī gayā to tirā shukriya adā hogā
sitāre Taañk rahā hai jo ḳhvāb meñ sab ke
vo surḳhiyoñ se ḳhabar kī hī lāpata hogā
vo jis ne ham ko bhulāve sī zindagī dī hai
zarūr us ne koī rāsta diyā hogā
Top Urdushayar.com