nazar kī baat pahuñchegī nazar tak
uḌegī dhuul phir dīvār-o-dar tak
koī manzil tasavvur hī hai shāyad
safar koī ho pahuñchegā safar tak
abhī ik buuñd chupke se girī hai
koī aayā thā shāyad chashm-e-tar tak
mare jab ham koī charchā na niklā
mire qātil hī pahuñche the ḳhabar tak
vo vāpas phir zamīñ par lauTtī haiñ
jo rāheñ le ke jaatī haiñ sikhar tak
bhale lambī ho ġham kī raat kitnī
koī bhī raat rahtī hai sahar tak