haiñ havāoñ meñ talḳhiyāñ shāyad
āñdhiyoñ meñ ho kuchh bayāñ shāyad
lafz kho aa.e haiñ sabhī ma.anī
baat kah deñ ḳhamoshiyāñ shāyad
kitnī gahrī udāsiyāñ haiñ abhī
niiñd kuchh de tasalliyāñ shāyad
ghar meñ jismoñ kī aañch baaqī hai
aaj ujḌā hai āshiyāñ shāyad
us jagah har koī akelā hai
jis jagah haiñ bulandiyāñ shāyad
bachche uljhe haiñ sab kitāboñ meñ
muntazir hoñgī titliyāñ shāyad
rab hai uupar zamīn par duniyā
beach meñ hai bahut dhuāñ shāyad
ḳhat likheñge unheñ salīqe se
aaj kāñpeñgī uñgliyāñ shāyad