dil to hai ek magar dard ke ḳhāne haiñ bahut
is liye mujh ko bhī rone ke bahāne haiñ bahut
ab na.e dost banāne kī to himmat hī nahīñ
dil se nazdīk haiñ jo dost purāne haiñ bahut
dil sukūñ paa.e jahāñ aise basere kitne
yuuñ to kahiye ki musāfir ko Thikāne haiñ bahut
dar kabhī ḳhvāb kā khultā hai azāboñ kī taraf
ye na kahiye ki sabhī ḳhvāb suhāne haiñ bahut
kaun sī baat kareñ kis se bachā.eñ pahlū
jo kabhī ḳhatm na hoñ aise fasāne haiñ bahut
'raziya' kyā kaam hameñ ganj-e-girāñ-māya se
ham se logoñ ke liye sher-ḳhazāne haiñ bahut