ik sahīfa nayā utrā hai sunā hai logo
mārnā dost kā bhī jis meñ ravā hai logo
ham ne jo kuchh na kyā us kī sazā bhī paa.ī
aur vo jo bhī kare sab hī ravā hai logo
zulm kī had hai jahāñ ḳhatm vahāñ par vo hai
DhūñD lo us ko yahī us kā patā hai logo
dil meñ ik shola-e-ummīd thā so sard huā
chāñd māthe kā mire kab kā bujhā hai logo
jis ko tum kahte ho ḳhush-baḳht sadā hai mazlūm
jiinā har daur meñ aurat kā ḳhatā hai logo
dekhiye zaḳhm kā kyā haal huā hai 'raziya'
aaj to dard mirā had se sivā hai logo