dil ke dard ke kam hone kā tanhā kuchh sāmān huā
ham bhī ab kai din jī leñge is kā bhī imkān huā
ek diye kī lau ne saarā shahr jalā kar ḳhaak kiyā
ek havā kā jhoñkā ban kar āñdhī aur tūfān huā
ārzūoñ kī nīchī saañs ne us dar par dastak dī
aur junūñ kā ik ik lamha mere ghar mehmān huā
vaqt kā kaTnā us se pūchho hijr meñ jis kī guzrī ho
ek ik lamha ek sadī thā kab ham par āsān huā
koī kisī kā miit nahīñ hai duniyā kahtī aa.ī hai
ham ne jis ko apnā jaanā vaqt pe vo anjān huā
ishq uḌānoñ kā dushman hai kyā us ko ma.alūm na thā
dil kā panchhī qaid meñ aa kar kyuuñ itnā hairān huā
tanhā un kī gul-afshānī kuchh na pūchho kaisī hai
jab bhī hazrat-e-vā.iz bole sab kā jī halkān huā