Aslam Azad

har-su dhuen ka raqs hai aaj apne ganw mein

Aslam Azad

har-sū dhueñ kā raqs hai aaj apne gaañv meñ
jalte lahū kī bū hai sisaktī havāoñ meñ
manzar ko dekhte hī vo behosh ho gayā
jhāñkā jo us ne ruuh kī andhī guphāoñ meñ
bistar pe pichhlī raat ajab mājrā huā
āñkheñ thiiñ band uḌtā rahā maiñ ḳhalāoñ meñ
sāhil kī ret par maiñ khaḌā sochtā rahā
uljhā thā merā zehn nadī kī havāoñ meñ
yuuñ to musāfiroñ kī nahīñ hai kamī yahāñ
Thahrā nahīñ magar koī dil kī sarāoñ meñ
Top Urdushayar.com