Komal Joya

ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi

Komal Joya

Kabirwala, Punjab, Pakistan

1983
ai rasm-e-baġhāvat ke giraftār sipāhī
likkhī thī tire baḳht meñ ye haar sipāhī
us taaj ke aur taḳht ke dushman haiñ hazāroñ
ma.amūr hifāzat pe haiñ do-chār sipāhī
ik tasht meñ rakkhī huī farmān-ravā.ī
ik tasht meñ haiñ dirham-o-dīnār sipāhī
malka huuñ mahal kī maiñ mirā hukm-e-mohabbat
auqāt kahāñ terī ki inkār sipāhī
kuchh vaqt kī qurbat ke liye lauT rahā hai
tanḳhvāh meñ chhuTTī kā talabgār sipāhī
zindān kī dīvār pe likkhe rahe nauhe
zanjīr paTaḳhtā rahā bīmār sipāhī
ḳhat chuum ke āñkhoñ se lagāte hue 'komal'
royā thā bahut TuuT ke har baar sipāhī
Top Urdushayar.com