Komal Joya

main jis irade se ja rahi hun usi irade se laD paDungi

Komal Joya

Kabirwala, Punjab, Pakistan

1983
maiñ jis irāde se jā rahī huuñ usī irāde se laḌ paḌuñgī
mire sipāhī ko kuchh huā to maiñ shāhzāde se laḌ paḌuñgī
ye khel shāhoñ ke martabe kā hadaf baneñge hamāre mohre
maiñ bebasī meñ shikast khaa.e hue piyāde se laḌ paḌuñgī
maiñ apnī bastī kī kachchī galiyoñ se ishq kartī huuñ yaad rakhnā
agar jo achchhā burā kahegā amīr-zāde se laḌ paḌuñgī
asīr-e-naqsh-o-nigār mujh se nahīñ sambhaltā ye chāk-e-hastī
maiñ thak ga.ī to bikhartī miTTī se aur burāde se laḌ paḌuñgī
ye sabr kab tak nibhā.e jā.ūñ maiñ ḳhud se nazreñ churā.e jā.ūñ
jo shām-e-hijrāñ ne jaan khaa.ī har ek va.ade se laḌ paḌuñgī
Top Urdushayar.com