zard chehra hai mirā zard bhī aisā-vaisā
hijr kā dard hai aur dard bhī aisā-vaisā
aisī ThanDak ki jamī barf har ik ḳhvāhish par
sard lahja thā koī sard bhī aisā-vaisā
ab use fursat-e-ahvāl mayassar hī nahīñ
vo jo hamdard thā hamdard bhī aisā-vaisā
ya.anī is dhuul ke chhuTne pe bhī ilzām-e-junūñ
koī tūfāñ hai pas-e-gard bhī aisā-vaisā
puurī bastī meñ bas ik shaḳhs se nisbat mujh ko
mujh se munkir hai vo ik fard bhī aisā vaisā
ishq ne rail kī paTrī pe liTāyā jis ko
thā javāñ-mard javāñ-mard bhī aisā-vaisā
kyā tujhe hijr ke āzār batā.e 'komal'
tū to be-dard hai be-dard bhī aisā-vaisā