Andaleeb Shadani

jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae

Andaleeb Shadani

Sambhal, Uttar pradesh, India

1904-1969
jahāñ ahd-e-tamannā ḳhatm ho jaa.e
azāb-e-jāvedānī zindagī hai
rulātī hai mujhe kyuuñ chāñdnī raat
yahī ik raaz merī zindagī hai
ḳhalish ho dard ho kāhish ho kuchh ho
faqat jiinā bhī koī zindagī hai
halāk-anjām takmīl-e-tamannā
baqā-e-ārzū hī zindagī hai
jigar meñ Tiis lab hañsne pe majbūr
kuchh aisī hī hamārī zindagī hai
vo chāhe jis qadar bhī muḳhtasar ho
mohabbat kī javānī zindagī hai
umīdeñ mar chukīñ maiñ jī rahā huuñ
ajab be-iḳhtiyārī zindagī hai
javānī aur hañgāmoñ se ḳhālī
ye jiinā hai ye koī zindagī hai
guzārī thiiñ ḳhushī kī chand ghaḌiyāñ
unhīñ kī yaad merī zindagī hai
mohabbat donoñ jānib se mohabbat
na pūchho aah kaisī zindagī hai
Top Urdushayar.com