mujhe ilzām na de tark-e-shakebā.ī kā
mujh se poshīda hai aalam tirī ra.anā.ī kā
māna-e-jalvagarī ḳhauf hai rusvā.ī kā
bas usī par tumheñ da.avā hai zuleḳhā.ī kā
kyā kahūñ gar use e.ajāz-e-mohabbat na kahūñ
husn ḳhud mahv-e-tamāshā hai tamāshā.ī kā
ashk jo aañkh se bāhar nahīñ aane paatā
ā.īna hai mire jazbāt kī gahrā.ī kā
tere āġhosh meñ kyā jāniye kyā aalam ho
dil dhaḌaktā hai tasavvur se tamannā.ī kā
shikan-e-bistar-o-namnākī-e-bārish haiñ gavāh
pūchh lo un se fasāna shab-e-tanhā.ī kā
kashish-e-badr se chaḌhtā huā dariyā dekhā
allāh allāh vo aalam tirī añgḌā.ī kā