Andaleeb Shadani

hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai

Andaleeb Shadani

Sambhal, Uttar pradesh, India

1904-1969
hañstī āñkheñ hañstā chehra ik majbūr bahāna hai
chāñd meñ sach-much nuur kahāñ hai chāñd to ik vīrāna hai
naaz parastish ban jā.egā sabr zarā ai shorish-e-dil
ulfat kī dīvāna-garī se husn abhī begāna hai
mujh ko tanhā chhoḌne vaale tū na kahīñ tanhā rah jaa.e
jis par tujh ko naaz hai utnā us kā naam zamāna hai
tum se mujh ko shikva kyuuñ ho āḳhir baasī phūloñ ko
kaun gale kā haar banā.e kaun aisā dīvāna hai
ek nazar meñ duniyā bhar se ek nazar meñ kuchh bhī nahīñ
chāhat meñ andāz nazar hī chāhat kā paimāna hai
ḳhud tum ne āġhāz kiyā thā jis kā ek tabassum se
mahrūmī ke aañsū ban kar ḳhatm pe vo afsāna hai
yuuñ hai us kī bazm-e-tarab meñ ik dil ġham-dīda jaise
chāroñ jānib rañg-mahal haiñ beach meñ ik vīrāna hai
Top Urdushayar.com