hamārī yaad unheñ aa ga.ī to kyā hogā
ghaTā idhar kī udhar chhā ga.ī to kyā hogā
abhī to bazm meñ qaa.em hai do diloñ kā bharam
nazar nazar se jo Takrā ga.ī to kyā hogā
dhaḌak rahā hai sar-e-shām hī se dil kam-baḳht
visāl-e-yār kī sub.h aa ga.ī to kyā hogā
ye sochtā huuñ ki dil kī udaas galiyoñ se
tumhārī yaad bhī katrā ga.ī to kyā hogā
surūr aa gayā rindoñ ko dekhte hī subū
jo mai-kade pe ghaTā chhā ga.ī to kyā hogā
vo baat jis se dhuāñ uTh rahā hai siine se
vo baat lab pe agar aa ga.ī to kyā hogā
vafā kā dam na bharo dosto tum 'aslam' se
tumheñ jo vaqt pe jhuTlā ga.ī to kyā hogā