Andaleeb Shadani

sahn-e-chaman hai gosha-e-zindan tere baghair

Andaleeb Shadani

Sambhal, Uttar pradesh, India

1904-1969
sahn-e-chaman hai gosha-e-zindāñ tire baġhair
ma.amūra-e-hayāt hai vīrāñ tire baġhair
chhup chhup ke jis ko dekhne aatā thā māhtāb
zulmat-kada hai ab vo shabistāñ tire baġhair
jaltā hai chārasāz kī nādāniyoñ pe jī
maiñ aur mere dard kā darmāñ tire baġhair
sotī haiñ is meñ kitnī umīdeñ fanā kī niiñd
siina hai ek shahr-e-ḳhamoshāñ tire baġhair
merī hañsī ki thī tirā sarmāya-e-nashāt
aa dekh ab hai ḳhanda-e-giryāñ tire baġhair
mahtāb ke hujūm meñ gum ho ga.ī thī raat
phir qahr ban gayā ġham-e-daurāñ tire baġhair
jaltā hai tez tez taḌaptā hai pai-ba-pai
dil hai ki ek shola-e-larzāñ tire baġhair
maiñ hech huuñ magar mujhe itnā subuk na kar
maiñ aur nashāt-e-zīst kā armāñ tire baġhair
jis zindagī ko tū ne banāyā thā zindagī
vo zindagī hai ḳhvāb-e-pareshāñ tire baġhair
Top Urdushayar.com