Rasheed Kamil

mausam-e-gul bhi mere ghar aaya

Rasheed Kamil

mausam-e-gul bhī mire ghar aayā
jaane vaalā na palaT kar aayā
aaj yuuñ dil ne bahā.e aañsū
aañkh se ashk na bāhar aayā
luT ga.ī zabt kī bastī āḳhir
terī yādoñ kā jo lashkar aayā
aañkh ab terī judā.ī pe khulī
hosh meñ tujh ko gañvā kar aayā
ek hī naqsh meñ the naqsh tamām
sāmne phir na vo manzar aayā
dhuup meñ us kī mohabbat kā ḳhayāl
abr jaise mire sar par aayā
kaale dariyā to kiye kitne ubuur
raah meñ ab ke samundar aayā
kaun kartā mirī rāheñ dushvār
aaḌe aayā to muqaddar aayā
us ne pheñkā thā agar phuul 'rashīd'
phir ye kis samt se patthar aayā
Top Urdushayar.com