Hakeem Mohammad Husain Ahqar

baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye

Hakeem Mohammad Husain Ahqar

bād-e-sarsar hai nasīm-e-gulistāñ mere liye
ban gayā kunj-e-qafas ab āshiyāñ mere liye
zāhido tum ko mubārak ḳhāna-ka.aba rahe
kaafī hai sajde ko sañg-e-āstāñ mere liye
sāġhar-o-mīnā subū-o-jām kā ab zikr kyā
dushman-e-jāñ ho gayā pīr-e-muġhāñ mere liye
vaah re gardūn-e-gardāñ terā shauq-e-intizām
ho ga.ī hai zindagī bār-e-garāñ mere liye
dard-e-dil kahne ko aayā huuñ sarāpā dard huuñ
ho atā kuchh vaqt bahr-e-dāstāñ mere liye
hasrat-e-sozāñ se taktī hai use barq-e-tapāñ
shāḳh-e-gulshan par banā jo āshiyāñ mere liye
Top Urdushayar.com