Qazi Hasan Raza

shikari ne rakkha Thikana buland

Qazi Hasan Raza

shikārī ne rakkhā Thikāna buland
hadaf past-qāmat nishāna buland
yahāñ zulm kī haiñ kamandeñ darāz
kahāñ tak kareñ āshiyāna buland
tire sāmne sar-ba-sajda haiñ log
mirā naam hai ġhā.ebāna buland
samajh lījiye talḳh guzrā hai din
agar hai navā-e-shabāna buland
mujhe bolne kī ijāzat nahīñ
mirī zaat nīchī zamāna buland
baḌī tez raftār hai umr kī
ḳhudārā na kar tāziyāna buland
mirī chīḳh bhī kho ga.ī hai 'razā'
huā har taraf se tarāna buland
Top Urdushayar.com