Qazi Hasan Raza

wo band muTThiyon ko meri kholne na de

Qazi Hasan Raza

vo band muTThiyoñ ko mirī kholne na de
ġhairat magar zabāñ se mujhe bolne na de
chāroñ taraf se mujh ko bulātā hai āsmāñ
lekin kashish zamīn kī par tolne na de
vo muskurā rahā hai kañval ban ke fikr meñ
kīchaḌ meñ apnā jism mujhe gholne na de
dīvār-e-shab ko toḌ ke dar aa.ī raushnī
ḳhvāb-e-girāñ ki aañkh idhar kholne na de
roke hai talḳh baat se mīThī zabāñ mirī
ik buuñd zahr sidq mujhe gholne na de
hīroñ meñ taultā hai vahī apne aap ko
jo mujh ko bahr-e-ġham se guhar rolne na de
kahtā hai misl-e-saiqal-e-ā.īna sher ko
apne meñ koī rañg 'razā' gholne na de
Top Urdushayar.com